Friday, May 5, 2017

Aap aaye to, magar toofaaN guzar jaane ke baad

Khoon aansoo bangaya
aankhon mein bhar jaane ke
baad
Aap aaye to, magar toofaaN
guzar jaane ke baad
Chaand ka dukh baatne nikle
hain ab ehl-e-wafa
Roshni ka sara shiraza bikhar
jaane ke baad
Hosh kya aaya musalsal chal
rahah hun behr mein
Ek sunehri raat ka nshshaa
utar jaane ke baad
Zakhm jo tum ne diya wo is
liye rakhkha haraa
Zindagi mein kya bachega
zakhm bhar jaane ke baad
Shaam hote hi chiraghoN se
tumhari guf’tgu
Ham bahot masroof ho jaate
hein ghar jaane ke baad
Zindagi ke naam par ham
umr-bhar jeete rahe
Zindagi ko ham ne paya bhi to
mar jaane ke baad..

No comments:

Post a Comment