Friday, May 5, 2017

Dukh Dard Kay Maaron Say

Dukh Dard Kay Maaron Say
Mera Zikar Na Karna?
Ghar Jao Toh Yaaron Say Mera
Zikar Na Karna?
Woh Zabt Na Kar Paayein Gi
Aankhon Kay Samandar?
Tum Raah Guzaaron Say Mera
Zikar Na Karna?
Phoolon Kay Nasheman Mein
Raha Hoon Mein Sadaa Say?
Daikho Kabhi Khaaron Say Mera
Zikar Na Karna?
Shayed Yeh Andheray Hi Mujhe
Raah Dikhayein?
Ab Chand Sitaaron Say Mera
Zikar Na Karna?
Woh Meri Kahani Ko Ghalat
Rung Na Day Dein?
Afsana Nigaaron Say Mera Zikar
Na Karna?
Shayed Woh Meray Haal Pay Be-
Sakhta Ro Dein?
Is Baar Bahaaron Say Mera
Zikar Na Karna?
Lay Jaayein Gi Gehraai Mein
Tum Ko Bhi Baha Kar?
Darya Kay Kinaron Say Mera
Zikar Na Karna?
Woh Shakhs Milay Toh Usay Har
Baat Batana?
Tum Sirf Ishaaron Say Mera
Zikar Na Karna?

No comments:

Post a Comment